Yudh to hote h bahut - Ghanshyam Mandloi

Ghanshyammandloi.blogspot.com yudh to hote h bahut ,par har ek ko mulya chukana padta h yudh to hote h bahut ,par har ek ko mulya chukana padta h vo pakshee ho ya vipakshi ho use kuch na kuch gavana padta h are un maao ko bhi sahara apna gavana padta h yudh to hote h bahut ,par har ek ko mulya chukana padta h dekho un pitaoo ko jinhe apnae putra ko mukhagni deni hoti h un pitaoo ko sarvaang aag m jhokna padta h yudh to hote h bahut ,par har ek ko mulya chukana padta h suno un bahno ki chitkare jinhe apna sahodar mot m chodhna padta h are un sahodriyo ko apna rakshasutra ceeta m jalana padta h yudh to hote h bahut ,par har ek ko mulya chukana padta h are pucho un bhaiyo se jinhe apna mrit bhai maidano me se udhana padta h are un bhaiyo ko apna ardhatan cheeta me jalana padta h yudh to hote h bahut ,par har ek ko mulya chukana padta h are pucho un patniyo se jinhe apna ardhadeh chodna padta h are un geevan sanginiyo ko to pura geevan tanhaa gavana padta h jinhe apna sindoor khun se dhona padta h yudh to hote h bahut ,par har ek ko mulya chukana padta h are suno un mitro ki samvednaye jinhe apna bachpana agni ko tyagna hota h un dosto ko swarachit rishta hi chodhna padta h yudh to hote h bahut ,par har ek ko mulya chukana padta h are vo hara hua desh ho ya vijeta desh ho har ek ko mulya chukana padta h are un bhaghi desho ko apna arth,deh,sampada aur na jane kya kya khona padta h yudh to hote h bahut ,par har ek ko mulya chukana padta vo pakshee ho ya vipakshi ho use kuch na kuch gavana padta h - swarachit poem writenn by Ghanshyam mandloi.

टिप्पणियाँ

लोकप्रिय पोस्ट